- Get link
- X
- Other Apps
Nasaaj to nahi par who jazbat kam the
Mohabbat to thi, par unke ehsas kam the.
Unki angdayiyon ko dekhte kho to jate the
par chhukar mehsus kar sake inke ehtaram kam the
Aashikon ke fehrisht mein naam hamara bhi tha
Kabhi hum zinda-dil the, kabhi unka hi sahara tha….
Jaane kya manjoor tha khuda ko,
Shayad naam pe hi koi dard chhupa rakha tha
Naam na len to bhi galt hain, jo naam len to bhi kahan sahi
Koi marz itna gehra kaise ho sakta tha,
Dil bhi tha maine nikal diya, jane sine mein chubhan kiska tha
Ab to aankhen band ho jayen, ji chahta hai
Ya to who humein wahida mil jayen, ya milne ka ehsaas bhi na ho!!!
(wahida- ek / puri ki puri is context mein)
Comments
Post a Comment