- Get link
- X
- Other Apps
Nasaaj to nahi par who jazbat kam the Mohabbat to thi, par unke ehsas kam the. Unki angdayiyon ko dekhte kho to jate the par chhukar mehsus kar sake inke ehtaram kam the Aashikon ke fehrisht mein naam hamara bhi tha Kabhi hum zinda-dil the, kabhi unka hi sahara tha…. Jaane kya manjoor tha khuda ko, Shayad naam pe hi koi dard chhupa rakha tha Naam na len to bhi galt hain, jo naam len to bhi kahan sahi Koi marz itna gehra kaise ho sakta tha, Dil bhi tha maine nikal diya, jane sine mein chubhan kiska tha Ab to aankhen band ho jayen, ji chahta hai Ya to who humein wahida mil jayen, ya milne ka ehsaas bhi na ho!!! (wahida- ek / puri ki puri is context mein)