- Get link
- X
- Other Apps
Railgadi
Gudgudati, satpat bhagti humari lambi lauhpath gamini,
Hazaron pathikon ko unke manzil pahunchati humari bhak bhak wahini,
Path pe jiske na koi badha hai, yeh har murli wale ki radha hai,
Din rat daudti, kabhi na thakti, patri ki rani patrayini.
Dharmo ko riwazon ko ek dhage mein piroti,
Raah mein humein daal, bhaat aur roti khilati,
Har disha mein jane wali, humari marg dishayini.
Desh ki jivan rekha kehlati,
har sahar gaon ko ek pehchan dilati,
Har pal ek rekha pe chalti,
humari pyari rekha gamini.
Kashmir se kanyakumari jodti,
Gujrat ko assam se milati,
Humari sangam karayini.
Writer: - Ataul Haque

Comments
Post a Comment